Posts

Showing posts from December, 2012

Mai aur mere zindagi ke 13 Din......mubark ho hindustan ka 2013

Mere itne choti se shahadat ka intazar kar raha tha pura mulak.. abhi tak ghanghor nend me soya hua tha pura mulak.. kitne he mere jaise ladkiyion ne dam thoda hoga.... aaj 68 saalo baad lagta hai... kuch-kuch jaga hai....HINDUSTAN Agar kuch karna chahte ho mere khateer. to bas apane-apane..MAA,BAHEN,BETIYON ke izzat bacha lo... mere khoon ke kimat kuch dena chahte ho HINDUSTAN. to apane gharo ke deepak,chirag,honhar... aur pata nahi kya kya kahte hai.... un ko sanskar ke bhasa sikha do.. hindustan ke ...... hazaro,lakho,maataion ke konkh kaise badnam ho jati hai... Desh ke maataion ko apani konkh me, pal rahe bhavsiya ko sahi desha dene hogi.. lagta hai, mera janam is sansaar me itne he palo aur dino ka tha, par ab agay koi  bhi naari aise daur se na gujaree... mere maut ko maut na samjhna.... mujhe tous din he marna tha,par niyati ne mujha zinda rakha.... mai vo gumname ladke hu, jis ka janam kewal 13 dino ke liye hua tha... mai 13 dino ke gatha the.. vo pure ho gaye.....ab mai ...

Desh ro raha hai......?

Aaj desh ro raha hai….. Kal tak jo desh hil raha tha…. Aaj kuch kuch roya hai…. Aaj desh ke ghar me… Khana nahi banaya gaya…. Sabhi logo ne aaj bhojan ka trieskar kiya hai…. Desh aaj thanda ke mare kuch bol nahi pa raha hai… Desh ne maun dharna kar liye hai….. Kuch aisa hua hai..desh ke sath ke desh sharminda hai.. apane aap par… Apani jamee par,apne asmaa par,apane samander par… Desh ne aaj apane aap ko….kai bar aiyene me dekha aur sawal kiya…. Kya mai ne apane he logo ko kuch galat….sandesh de diye hai…. Phir desh us maa..ke pass   pahuncha….. Jis maa ke konkh se paiyda hue….the..vo   6 log… Desh kuch der     vaha baith kar roya…. Aur un har ek ke maiyon ke konkh bhi dekhi….. Desh ne bhi un maaiyon ke ankho me anshu dekhi….. Vo badnam konkh par ro rahe the…… Desh aaj pure din roye….ro ro kar bura haal ho gaya hai… Desh ka….. Lagta hai..aaj desh ke ankho me nend   nahi ayege….. Desh aaj pure raat intazar karega…....

DESH.......? by Chandrabhushan singh

Desh….????? Desh kaun hai….? Desh kya hai……? Desh kahan hai……? Desh apane aap ko  bhool gaya hai….? Kal mai ne kise ke juban se suna tha…. Desh hil raha hai…..? Desh jal raha hai……? Desh me kaali kranti aa rahe hai…… Desh me yuva shakti aa gaye  hai… Desh me jo kuch ho raha hai.. Desh ko bhi acha nahi lag raha hai…. Phir  desh kare bhi kya..desh kahta hai..ke mai kaun hu… Mujhe kaun chala raha hai…desh ka PM… Phir awaz ati hai.. Desh  bolta kyun nahi hai… Desh gunga hai?..… desh bahera hai?.. desh ab vaisa nahi raha jaisa pahle hua karta tha…. Desh par aaj kal..kai log hak dekha rahe hai..hai… par desh ke liye kuch log he bolte hai.. lagta hai..Desh kuch deno se so raha tha…. Abhi kuch ngo walo ne desh ko jganae ka beda uthaya hai….. Nahi tho desh kumbhkaran ke bhanti so raha tha,…. aur lagat hai..aaj bhi so raha hai… Aur ek  ravan ke jaisa shasak gunga insan desh ko chala raha hai… Desh apang ho gaya hai….....

mai aur mera pyar....khuda

khuda bhi pyar se pyara ho jata hai. apni jaan se pyara ho jata hai.... bas waqt ke baat hai... aur hum kahte hai....ke... mujhse pyar karne walo.... samjh lena... mujhse ke gaye bewafaiyon ke saja khud khuda deta hai..... kyun ke mai kise se pyar nahi karta... vo pyar mera KHUDA   karta hai.....@ chandrabhushan singh
Image
chandrabhushan singh

khuda aur us ke bande....

masjid me ja raha hai, Aiyena dekh kar... khuda ko dekhaa raha hai,Aiyena dekh kar... Vajuu ke waqt mat saz tu.... namaz ko ja raha hai,Aiyena dekh kar... kyun bhulata hai.bande.. khuda he tujhe saja raha hai, tera karam dekh kar.... tu kyun ja raha hai,aiyena dekh kar....@chandra bhushan singh

MAI AUR MERA DARD:

MAI AUR MERA DARD: mere sharir ke jo jhakhm hai..vo tumhe dikaiye de rahe hai... mere sanso aur nasho ka dard tumhe kaise dekhauon.. Mere dimag ke naasen ab sath nahi de rahe hai... is samaye jo mere sab se kareeb hai...vo mai aur mere maut.. tumhre bhonkh bhi aise he bhonkh hai....jaise bhonkh kabhi kise ko na lage hoge.... tumhre maa,bahen aur kuch apane bhi honge..na ho to...to bhi ek aurat ko dekh lo...vo kin khayalo me jeete hai....unhe meri jagha rakh kar kuch palo ke liye sonch lena.......ha aaj mai maut ke sath hu... ya ye kah lo..ke maut mere sath hai...to duniya mere sath hai... ha kabhi ye insan mere jagha apane aap ko rakh kar dekhana ! hey...bharat mahan ke purush pradhan samaj....

safar me jab ho humsafar to safar..humsafar jaisa lagta hai....